Pakistan Mein International License | International License in Pakistan | By Purzouq |

Pakistan Mein International License | International License in Pakistan | By Purzouq |

International License in Pakistan
International License in Pakistan 

Pakistan mein international license kiyoun banwatay hain.

Pakistan mein international license is liat banwaya jata hai keh jo log berone mulk travel kay liay jatay hai ya apnay raletive ko milnay kay jatay hain who international license is liay bhi banwatay hain keh jis mulk mein who ja rahay hain who in mamalik mein Vehicle Drive kar sakain ya wahan kisi industy mein as a driver kam kar sakain.

Kitnay Din baad international License kay liay Application Submit ki jati hai

international License kay liay Application Submit karnay kay liay koi limit nahi agar Ap nay aj local license banwaya hai to Kal (Next Day ) ko international License kay liay apply kar saktay hain.Lekin yaad rahay keh agar ap ka local license nahi bana to ap International License kay liay apply nahi kar sakain gay .

International License kitnay din mein banta hai

International License application submit karnay kay baad 24 Horse mein ap kay CNIC par diye gaye Address par dispatch kar diya jata hain.Agar International License ap kay diye gaye address par nahi pohnch pata to ap issay muta’alqah office say bhi received kar saktay hain.

Local License ka bana hona.

Pakistan Mein International License (International License in Pakistan) banway kay liay zaroori hai keh ap ka pehlay Local License bana howa ho ga to hi ap ka International License banay ga otherwise ap ki International License ki application reject kar di jaye gi.

International License ka procedure

International License Form fill up karna parta hai jo keh free of cost hota hai aur har Police station par hama waqt dastiyab hota hai.

Kon Kon say Documents Darkar hotay hain

International License banwanay kay liay normal same documents Required hotay hai jokeh aik local License kay liay required hotay hain.Un ki detail nichay di ja rahi hai

  1. CNIC Copy
  2. Passport size 2 images
  3. Passport Copy
  4. Valid License ki copy

Is kay baa dap ka online DATA feed kiya jaye ga jis mein ap ka name pata online record mein mahfooz kiya jaye ga.name pata feed karnay kay baa dap ki finger print liay jaein gay.Is kay baad ap ki online picture li jaye gi

International License Ki Verification

DATA feed karnay kay baa dap ki finger print ko match kiya jaye ga keh ap ka DATA theek upload howa hai ya nahi.Agar ap ka DATA correct feed howa hai to “Data Matched Found “ ka status aye ga. Agar ap ka data mein koi mistake hai to “DATA NOT MATCHED FOUND” ka status aye ga

International License FEES

Agar hum baat karain International License ki to is mein 450 rupay ka challan Online or HBL mein jama ho ga aur 660 ka challan District Kachehry mein jama karwana parta hain

International License  Kay Liay Learning License ki zaroorat nahi.

International License kay liay  Learner Permit ki koi zaroorat nahi ho kiyoun keh ap nay pehlay hi regular License banwa rakha hai jis ki ap nay training test pass kar rakhi hai

Renewal International License:

International License ki date agar expired ho gai hai to ap is ko dlims.punjab.gov.pk par ja kar is ko renewal hi kara saktay hain. International License ki renewal fees dobara say pay karni ho gi.

Conclusion:

Pakistan Mein International License kay baray mein ap ko kafi haad tak woh maloomaat  jo ap ko darkar thain mil gai hoon gi.Ap kay khayal mein kisi bhi qisam ki kammi hai to ap comment box mein is ko lazmi mention karain. Article ko parhnay kay baad ap ka experience kaisa raha is par apna feedback zaroor dain.


 

 

 

 

 

Post a Comment

Previous Post Next Post

recent posts

Random Posts