Pakistan Mein Driving License Ki Iqsaam (Types of License in Pakistan )| License Categories In Pakistan |
Pakistan Mein Driving License Ki Iqsaam (Types of License in Pakistan) say pehlay hamain yeh pata hona chahye keh Pakistan
mein General Roads par gari chalanay kay liay aik Government ki taraf say aik Qanooni
aur Verified certificate diya jata hai jis ko Pakistam Samait Dunya bhar min
License ke name say jana jata hai.
Pakistan Mein Driving License Ki Iqsaam aur is kay Maqasid:-
Pakistan Mein Driving License Ki Iqsaam (Types of License in Pakistan) kay sath sath kuch maqsad bhi hain. License ko istamaal (Use) karnay kay maqasid mein sab say awal No to yeh hai keh awaam kay jaani nuqsaan ko roka ja sakay. Yani Untrained Shakhs ko Masroof Roads par na aanay diya jaye takeh insane janon ka ziah na ho.Mali Nuqsaan:-
Pakistan Mein Driving License ko istamaal karnay ka dosra bara maqsad mulk ko mali nuqsaan
say bachana bhi hai keh untrained shakhs say honay walay nuqsaan ko bacha kar
qaum ki falah o bahbood kay liay istamaal kiya jaye.
License Kiya Hai?
Pakistan Mein Driving License Ki Iqsaam (Types of License in Pakistan) License aik aisa Qanooni certificate hai jis ko dekh kar kisi mulk ka qanooni adara bakhoobi samajh sakta hai keh License Holder Verified department se sanad yaftah hai. Yaani License aik aisa Qanooni aur verified certificate hai ji ko poray mulk mein yassan qanooni tahafuz aur yaqeeni tor par mukamal tasleem kiya jata hai.Driving License Ki Qismain (Types of license)
- Learner License:-
- MCR License
- Private License
- LTV License
- HTV License
- PSV License
- Motorcar/Jeep License
Learner License:-
Learner license un logo kay liay zaroori hai jo abhi abhi driving seekh rahay hain ya driving ki field mein abhi bilkul naye hain.Learner License kay liay kisi khaas decuments ki zaroorat nahi hoti ap ka 1 phton catured kiy jaye ga aur zaroori malomaat (information) ko darj kar kay ap ko aik sada Kaghaz par 42 say 45 Din kay liay learner permit license bana kar diya jata hai jis ki expiry tarikh e ajra say lay kar 6 mah tak hoti.Is kay liay kisi khaas test ya training ki zarrorat nahi hoti.Learner license banway kay baad vehicle par Back side par bara kar kay "L" likha jata hai takeh logon ko chalay keh driver abhi leaner stage par hai.MCR License:-
MCR ka (abbreviation) Matlab Motor Cycle RickshawMCR License sirf aur sirf motor cycle rickshaw kay liay bana hota hai aur sirf Motor cycle rickshaw kay liay istamaal kiya jata hai. MCR License ko Car,jeep ya degar vehicles kay liay istamaal nahi kiya ja sakta hai yani (Not valid for Other Vehicle like car/ jeep)
Private License:-
private license makhsois vehicle kay liay banwaya jata hai. Yeh LTV License say milta julta hai lekin yeh LTV License nahi hota.yeh license ap ap car motor cycle waghairah kay liay banwa saktay hainLTV License:-
LTV ka sada zaban mein matlab Light Transport vehicle hai yeh License commercial vehicle kay liay istamaal kiya jata hai jis mein Car Taxi Jeep aur Choti Bus, lightweight transport ki garian shamil hain. Is License ko bari vehicles kay liay istamaal (Use) nahi kiya ja sakta.HTV License:-
HTV Heavy Transport Vehicle kay maani rakhta hai.Yeh License bari Vehicle jis mein bari buses, trucks, Trailers, Cranes, bulldozer aur dosri bari garian shamil hoti hain.HTV License Holder dosri garion ko bhi chala ( Drive) kar saktay hain.Motorcar/Jeep License:-
Motorcar/Jeep License ko Non commercial car, jeep aur cab wali garion ke liay bana hota hai.License Holder ko Government ke Law/role ke mutabiq istamaal kiya jata haiPSV License:-
PSV ka matlab hai Public service vehicle. Is meim Awam un naas ki khidmaat ke kay liay jo vehicles istamaal ki jati hain who psv mein shumaar hoti hain.is mein Taxi, Coaster,Buses,Hieas, weagon waghaira aatti hain.Conclusion:-
Is Article mein License ki complete information provide ki gai hai.Pakistan Mein Driving License Ki Iqsaam (Types of License in Pakistan)ko assan alfaz mein bayan kiya gaya hai aur Umeed karta hoon ap is article ko parh kar License ki ahmiat(Valu) ko achi tarah say samajh gaye hoon gaye.
Comments & Sugetions:-
Hum ap kay comments aur suggetion ki Qadar kartay han aur In Tajaweez arra ko apni khhimaat ko behtar bananay kay istamaal kartay hain.
Tags:
License