Pakistan Mein Best Mobile Internet Providers
Pakistan Mein best internet connection ki baat ki jaye to is wqat Pakistan mein Zong, Jazz, Ufone, Telenor baray Brand kam kar rahay hain ab in kay sath aik aur nai Cellular network company jis ka name Onic hai Pakistani Awaam kay liay paish paish hai.
Internet ki raftaar aur is ki karkardagi kay baray mein jokeh internet ka tajzziya karti hai us nay apni report mein bataya hai hum nay ost download ki speed, speed mein delay aur mustakil tour par services provide karnay walon ki aik farist tayyar ki hai jis mein metrix ko bari wazahat kay sath explained kiya hai.
Pakistan Mobile internet ki raftaar(Speed) kay lihaz say 125 Number par hai.Is waqt poray Pakistan mein Download ki Osst Raftaar 15.16Mbps aur Upload ki Raftaar9.20 Mbps aur in mein latency 29 ms hai.
Pakistan Mein Internet Provider Ki Taadad (Total No Of Service Providers)
Download Speed:
Download ki raftaar kay lihaz say Zong aur Jazz aik dosray kay maddey moqabil hain Zong kay pass jaded technology honay ki wajah say us ko first No par rakha ja sakta hai lekin is kay sath sath Jazz ki Download Speed bhi Zong say kam nahi Jazz ki oost Download Speed 22.10 Mbps hai jis ki waja say Jazz ko Pakistan mein Record Bsiness kay ka molqah mila howa hai.Zong ki oost speed ki baat karain to is ki speed ab Setlight par janay ki wajah say upgrad ho chuki hain. Ab yeh Jazz kay network say muqabla kare to pehla No Zong 4G aur Zong 5G ka ho ga.
Is kay sath sath Ufone aur Telenor ki download speed ki baat ki jaye to Telenor 9.61 hai jab keh Ufone ki Download speed 4.86 hai.
Service Mein Takheer (Latency)
Jin logon ko pata nahi hai keh un ka sever say connection kitna taaz hai to un kay liay Zong ki Latency sare farhist hai jo keh oostan 46 say 47 ms kay mayar par hai lekin yeh bhi apnay madde muqabil say moqabla karnay kay liay kafi nahi hai.Ufone aur Jazzz is kay moqablay mein 56ms latency ko barqarar kiye howay hain jabkeh Telenor 57ms kay sath 1 mily second pechay hai.
Mutawatar Service Dena (Consistency)
Hum jantay hai keh in Numbers ka in companies say koi lain dain nahi. Koi bhi Sellular network ki mustaqil mizagi barqarar rakhay ya na rakhay. Aik report kay mutabiq ISP(Internet Service Provider) jaddat kay mutabiq mukhtalif ooqat mein mukhtalif result ya karkardagi dekha sakta hai.
Overall agar baat ki jay to Jazz in mein alla Qualty Covrage ka hamil hai.Jazz 82.1% kay sath mustaql rahta hai aur is mein upgradation ka bhi imqan hai. Is ki download ki raftaar 5 Mbps aur 1Mbps upload speed kay sath Jazz ko Pakitan ka The Best Network Covrage kaha ja sakta hai.Zong ka Latency Score71.1% kay sath jazz say zayada dour nahi hai.Agla No hi Ufone ka jis ka Consistency score 65.5% hai aur masalsal o mutawatar rehnay ka No 3 hai
Telenor kay waseh tareen network kay sath Consistency score 43.1% hai jokeh moqabla karnay kay liay kafi kam Consistency score hai kiyoun keh ab Ufone nay Telenor ko khareed liya hai ab Ufone Telenore ko mazeed upgrad karay gi aur is ka Consistency upgrad ho jaye ga.
Mobile Phone Models and Coverage:
Jahan network ki baat ho gi wahan Mobile Phones Models aur un ki specification ki baat bhi zaroor ho gi.
Internet ki behtareen performance kay liay iPhone Pro Max aur Iphone 13 Max, Vivo, Oppo aisay Mobile phone kay model hain jn say Internet ki speed kay sath sath overall performance bhi hasil ki ja sakti hai.