Bisp Mein Registration Ka Tarika | New Bisp Registration method By Purzouq |

Bisp Mein Registration Ka Tarika

Bisp Mein Registration Kaisay Hoti Hai
Bisp Mein Registration Ka Tarika 

Agar ap Benazir Income Support Programe say madad lena chahtay hain lekin ap ko registration kay tarika ka pata nahi to ghabray ki zaroorat nahi.Agar ap ka bhi yehi sawal hai keh "Bisp Mein Registration Kaisay Hoti Hai" to Ap bilkul theek Platform par aaye hain.

Hamaray pass woh tamam malomaat hain jin ki ap ko zaroorat hai.hamaray batay howay registration ke kay tarika say ap apni ahliyat (eligibilty) ko assani say check kar saktay hain

You may also read this

Kiya App Eligible hain?:-

Benazir Income Support Programe nay Government of Pakistan ki nai kafalat policy kay mutabiq June Tak mazeed khandano ko registered kanay kay ahkamaat jari kiye hain.

Jis kau mutabiq agar ap ka ghurbat score 30 say kam hai to ap bhi apna anraaj kara saktay hain.agar ap ka ghurbat score 30 say zayada ya update nahi ya ap na ahl (ineligible) to ap is ko foran update karwaein.

Iss Article ko mukammal parhnay read kay baad ap iss qabil ho jaein gay kah app apna anraaj ya iss Benazir Income Support programe 2024  mein assani say shamil hosaktay hain.

Personal Record ki Darustagi:-

Sab say pehlay  Nadra apnay pesonal record ko rasust kawain.jis mein ap kay name kay sath sath walid /khawaind kay name ki darust honay chahyein

Eligibility ko kaisay  check kar saktay hain?

ap Benazir Income Support ki official website 8171.bisp.gov.pk say bhi apni eligibility check kar saktay hain.

Online Registration 8171:-

Benazir Income Support ki official website bisp.gov.pk online Registration ka button talash kar kay is kay zarye  bhi signup kiya jasakta hain

Bisp mein Sms kay zarye Registration:-

online ka aik purana method 8171 par CNIC NO ko send karna hai.

Apna cnic no Type aur issay 8171 par sms kar dain

Bisp Registration Desk:-

iss tarika say ap physically  bisp kay office with proper Dacuments jain gay aur wahan ja kay khud ko regiterd karwain gay.

Dynamic Survey:-

Lazmi Documents

  1.  Bill Electricity
  2. Bill Gass
  3. Bachon ka B form
  4. Apna aur Shohar (Partner) ka Shanakhti Card ( Orignal CNIC)

Ineligible honay ki sorat mein apnay elaqay mein mojood BISP office jaein wahan par ap help desk par jain aur apna problem btaein woh nomainda ap ko ap kay maslay kay mutabiq mutaalqah counter par bhaijay ga.

Yahan par officer app say ap ka CNic Lay ga ap ka ghurbat ka score check karay ga.iss kay baad app ki finger print lay ga.jis mein ap ki 4 fingers aur 1 a thumb shamil ho ga.agar app ka (partner) ki death hogai hai to ap ap ko pehlay apna cnic ko update kawanay ki zaroirat hain.is ko update kawanay kay bad hi ap ka Dynamic servey hoga.baad azaan officer ap kay partner ka shanakhti card lay ga aur us ki malomaat ka andraaj kay ga.Bachon ka B Form lay ga us ka B Form kay mutabiq adnraaj karay ga.

Is verification kay baad ap ko kuch din kay baad 8171 Say SMS aaye Ga jo keh ap kay Eligible ya Ineligible honay kay baaray mein ho ga.Agar is message mein "You are Eligible for Ehsaas Kafalat Program" hai to ap ehel ho gaye hain agar iss message mein "You are not eligible for Ehsaas Kafalat Program" hai to ap naahel hain.Verification kay iss marhalay ko Dynmic Servey bhi kaha jata hai.

Conclusion:-

iss article mein BISP mein registration ki complete information di gai hai.iss ko mukamal parh laynsy kay baad ap ko mukamal elm ho geya ho ga keh kin kin tarikon se bisp mein new beneficiary ki registration ho sakti hai. tah waqt guzaranay kay sath sath iss ki registration mein tabdeely ki tawaqah ki ja satkti hai. iss baraye mein app ki kiya raye hai ya app kiya kehtay hain ya Bisp Mein Registration Ka Tarika  par koi sawal hai to bataein.Hamara edara app ki raye or suggestions ka ehtaraam karta hai aur ap ke experience ko edara logon ki behtary kay liay istamaal kare ga.

Post a Comment

Previous Post Next Post

recent posts

Random Posts