Punjab Mein Online Vehicle Verification Ka Tariqa
Kiya ap bhi apni vehicle ki online registration verification check Karna chahtay hain ya Punjab Mein Online Vehicle Verification Ka Tariqa janna chahtay hai to ap ki query final hoi aur ap ka masla (problem) hal howa.Hukom e Punjab nay Vehicle verify hai ya unverified hai kay bare mein internet par aik naya system mutaarif (interduced) karwaya hai jis awam ko is baat ki agahi ho gi keh used vehicle aik no hai ya 2 no hai yani asal hain ya naqal hain takeh awaz ko dhoka dahi say bacha kar un ko un kay mali nuqsaan say bachaya jaye.
Punjab Mein Online Vehicle Verification Ka Maqsad:-
Kiyoun keh aj kal dhoka dahi ka bazaar garam hain.is service ko visitors kisi waqt ya kisi jagah say bhi Punjab xsise,Taxation & Narcotices Control Department( Government of Punjab) ki official website par ja kar istamaal kar saktay hain.Is portal ka bunyadi massad smgal shuda ,chori shuda ya kisi wardaat,murdered mein istamaal honay wali vehicle ko trace karna hai.
Ap is ka url kuch youn type karain gay”: https://mtmis.excise.punjab.gov.pk/ yeh mukhtalif Types say check kiya ja sakta hai is kay types is tarah kay hoon gay maslan( For Example ) LXZ 456, LXZ0456, LXZ 5555, LXZ-08-456 waghaira waghaira is kay baad ap apna matloba vehicle No (Registration No) enter karain gay Vehicle Numer Enter karnay kay sath hi capcha (I’m not a robot) aaye ga Is ko check-marked kar dain aur search ya enter ka button press kar dain gay.Ab website aik information inface show ha ga jis mein
Verification Details:-
Registration Number:
Maslan (For Example) SLM 7331
Owners Details:-
- Owner Name:
- ABC
- Father’s Name/Husband's Name
- : XYZ
- Owner City:
- Lahore
- Latest Payments Details
- Date: 01-01-200……
- Amount: 150
- Payments Type:
- Transfer of ownership
- Vehicle Details:
- Engine Number
- 015-------
- Make Name:
- Honda, Suzuki, or other
- Registration Date:
- 2024-02-02
- Year of Manufacture :
- 2024
- Vehicle Price:
- Vehicle Color
- Red, Black, Green, or other
- Token Number:
- Life Time
- Vehicle Application Tracking:
- Application Type:
- Transfer of Ownership
- Application Current Status
- Delivered
Application Tracking:
Is kay sath sath agar ap ki vehicle Registration kay marahil( Prosessing) mein hai to ap apni vehcle ki registration ki stage ko bhi track kar saktay hain. Is kay liay ap ko Application Tacking kay button ko press karain gay aaur baad azzan ap kay front par 2 boxes appear hon gay.
Pehlay box mein ap apni vehicle ka application Number enter karain gay. Dosray box mein ap apni vehicle ka chassis Number enter karain gay is kay baa dap aik capcha(I’m not a robot) fill Karin gay is (I’m not a robot) ko fill kanay ke baad ap verify kay button par click karan gay to ap kay samnay ap ki vehicle ka current status a jay ga.
Special Login
Agar ap nay Exsise,Taxation & Narcotices Control Department( Government of Punjab) say koi special access kay rakhi hai yani Exsise,Taxation & Narcotices Control Department( Government of Punjab) kay mumber hain ya ap nay Exsise,Taxation & Narcotices Control Department( Government of Punjab) kay Athurised person hain to ap Special login Button ko bhi asani say istamaal kar saktay hai. Exsise,Taxation & Narcotices Control Department( Government of Punjab) kay Athurised honay ki surat mein ap hama qism ki file tak full access ho gi.
Print Details:
Aha rap chahay hai keh ap ko Vehicle Verification ki details ko ya Aplication Tracking ki details ko ya Exsise,Taxation & Narcotices Control Department( Government of Punjab) kay Athurised hotay howay kisi khs qism ki malomaat ka print out karna hai to ap Print Details ko use kartay howay is ka print our bhi lay saktay hain.
Conclusion:-
Ap nay is article ko parha to umees kartay hain keh Ap nay Exsise,Taxation & Narcotices Control Department( Government of Punjab) ki is saholat ko zaroor appreciate kiya ho ga keh Exsise,Taxation & Narcotices Control Department ka yeh portal awam ko kafi haad tak nuqsaan say bachanay ya bachanay kay liat madad (Helpful) sabit ho ga.Is saholat say na sirf choro chakari say bacha jaye ga balkeh “Insani Zandagi” say khailanay walon ko bhi assan say qanoon ki garift mein lanay mein kafi haad tak help milay gi.
Best Regards "By Purzouq"