Blogspot.com
Par Free Website kaisay Banti Hai
|
Blogspot.com Par Free Website kaisay Banti Hai |
Hi, friends main hoon Ali Raza aaj hum baat karnay wale hain
keh Blogspot.com Par Free Website kaisay Banti Hai kis tarah create kar saktay hain jo
anay wale waqt mein humain income bhi generate kar ke dey. Blog create karnay ke tamam marahil ko
hum step by step Yani in marahil ko aik
khaas tarteeb say lay kar chaplain gay Matlab blog creation sey lay kar is lo
google mein index karnay tak.
First Step:
Signup
First step mein Blogger.com ko apni Gmail sey Signup karain gay Signup karnay ke baad agla step
blog creation ka hai.
Second Step:
New Blog
Creation
Ab hum New Blog lay
button par click karain gay new blog par
click karnay ke bad” Blog Ka Name” choose Karin gay keh hum apnay blog ka na
kiya rakhna chahtay hain.Name choose karnay ke baad bari aati hain Subdomain
blogspot.com sey pehlay hamaray blog ka kiya name ana chahye yani blog address or URL.
Third Step:
Subdomain
Ab hun nay Sudomain sey pehlay wahi name dena hai jo hum
Google mein yaani Visitors ko search karwana chahtay hai Misaal ke tour par
Blogging as Careers to yeh name kuch youn ha ga https://bloggingascarees.blogspot.com
a bap ka Blog Create ho geya hai
You can also Check this
Fourth Step:
Theme ya
Template:
Blogspot.com Par Free Website kaisay Banti Hai is ke bare mein hum mazeed jantay keh Classic Theme or template ko Premium Theme or
Template yaani Custom theme or template mein change karna hai.Is ke liay humain
Premium theme ya template ko kisi Develper ke plate form sey Download kar lena hai.Theme
ko Download karnay ke baad hum dobara blogger ke Pannel aaein gay ( Posts Stats
Comments Earning Pages Layout )Theme par click karain gay
My theme ke nichey Customize aye ga issi ki right side mein
aik arrow aye ga is arrow par click karain gay is arrow par click karnay se is
mein mazeed option open ho jaein gay in mein pehla option Backup Dosra
option Restore Teesra option Switch to first generation classic theme ka aaye
ga.Is ke baad Edit HTML aye ga last aur
akhari option Mobile Settings ka ho ga.
Ab hum sab sey pehlay apnay blog ka Backup lain gay
takeh installation ke duran koi mistake ho gai ho to us ko hum Bassani Darust kar sakain.Ab hum Restore
par click karain gay to New theme ya template
ko Upload karnay ka option a jaye ga jonhi hum Upload ke button par click
karan gay to system humain us maqam kar lay jaye ga Jahan hamari template ya theme para hai. Ab
hum apnay Mutaaqah Theme ya template ki File select karain gay jo keh XML
Farmate mein ho gi. File ko Select kartay hi File Upload hona start ho jaye gi
aur confirmation message aye keh Save Sucssufully
a jaye ga.Blogspot.com Par Free Website kaisay Banti Hai is ki detail nechay di ja rahi hai.
Final Step:
View Blog
Ab hum view blog ke button par click karain gay to hamaray
New Blog ka Preview a jaye ga keh hamara blog kaisi look de raha hai, ab agar
haum chahain to blog ke theme ya template ko mazeed bhi modify kar saktay hain.
Jis mein hum theme ya template ke rang(Colours) ko tabdeel kar saktay hain is
ke Wedgets ko change kar saktay hai,is ko mazeed eyescatches bana saktay hain.
Layout Customization:
Theme installation ke baad layout ko customize ka no aata hai keh hum apnay BLOG ke interface ko kaisa dekhana chatay hain. Mukhtalif theme mein layout ke mukhtalif interface hotay hain yaani free theme mein Footer Creadit mein jo links hotay hain woh Developer ki website par redirect ho jaye hain jab keh Premium theme mein Footer Creadit mein jo Links add hotay hain woh issi BLOG par redirect hotay hain.
Main Menu:
Main Menu mein Categories hoti hain jo BLOG OWNER apni marzi sey add karta hai. I Case mein hum main menu mein Dajzail Categories add karnay wale hain jis mein Tech,News,Online Earning,Blog,Wordpress aur fourm.
Gadget:
Gadgets mein mandaja zail Gadgets aatey hain jis mein AdSense, Featured Posts, Blog Search, HTML/JavaScript, Profile, Blog Archive, Page Header, Followers, Image, Labels, Pages, Link, TextPopular Posts, Blog's stats, Blog List, Feed, Logo, Subscription Links, Translate, List, ContactForm,Wikipedia, Attribution, Report Abuse aur is ke uses ya maqasid bhi mukhtalif hain.
Uses of Gadgets
AdSense:
Adsense ko google sey monetise karwa kar earning hasil karnay ke maqsad ke liay use kiya jata hai.
Featured Posts:
Khasoosi Posts ko hilights karnay ke liay Featured Posts ka Gadget istamaal kiya jata hai.
Blog Search:
Blog mein add kiye gaye content ko visitor ko assani sey search karwanay ke liay Blog Search ka Gadget use kiya jatai hai.
HTML/JavaScript:
Thirdparty ke function ko istamaal karnay ke liay HTML/Javascrip ka Gadget istamaal kartay hain.
Profile:
Apni Zaati malomaat ko Visitors tak pohchanay ke liay Profile ka Gadget istammal kiya jata hai.
Blog Archive:
Visitors ki Assani ke liay keh woh purani posts ko bhi dekh sakain is maqsad ke liay Blog Archive Gadget istamaal kiya jata hain.
Page Header:
Blog ki Tafseel yani description aur Title ko show karnay ke liay Page Header ke Gadget ko istmaal kartay hain.
Followers:
Is Gadget ko istamaal karnay ka maqsad yeh hai keh kon kon sa Visitor hamaray Blog ko follow kar raha hai.
Image:
Kisi Khaas maqsad ke liay kisi picture ya images ko zahir kanay ke liay image ki Gadget use kiya jata hai.
Labels:
Posts ke label ko dekhanay ke liay Label ka Gadget se Faida Uthaya jata hain
Pages:
Is Gadget se Blog mein istamaal honay wale Pages ko Display kiya jata hai jaisay Home,About Us,Contact Us, Privacy Policy, Disclaimer waghairah waghairah
Link:
Apni Pasand ki websites,Blogs, aur degar collections ki show karnay ke liay Links Gadget ko istamaal kiya jata hai.
Text :
Kisi Khaas likhai ko blog mein dekhanay ke liay Text ke Gadget ko istamaal kiya jata hai
Popular Posts:
Mashoor posts jin ko visitors nay zayada visit kiya hai un ko dekhanay ke liay Popular Posts ka Gadget use kiya jata hai.
Blog's stats:
Blog par anay wale visitors ke previews dekhanay ke liay Blog Post ka Gadget istamaal kiya jata hai.
Blog List:
Jis Blogs ki pots hum read kartay hain un ko show karnay ke liay Blog List ka Gadget istamaal kiya jata hai.
Feed:
Rss wale Content ko ya Atom wale Content ko show karnay ke liay Feed ka Gadget istamaal kiya jata hai.
Logo:
Apnay Blog Website mein Khaas Nishani Alamat(Logo) ko zahir karnay ke liay Logo ka Gadget use kiya jaa hain.
Subscription Links:
Visitors ya raders ko apnay blog ko subscribe karwanay ke liay Subscription Links ko use kiya jata hai.
Translate:
Apnay Blog ke visitors ki assan ke liay content ko mukhtalif zabanon mein tarjamah karnay ke liay Translate ke Gadget ki use kiya jai hai.
List:
Apni pasand ki kitabon, Notes,ya jo cheez ap ko achi lagti hai list mein add kar saktay hain is Gadget ka yahi maqsad hai.
Contact Form:
Blog ke reader ko app sey baat cheet (Communication)ya kisi Qasm ka sawal Jawab karnay ke liay Contact Form ka Gadget istamaal kiya jata hai.
Wikipedia:
Kisi qasm ke hawale se mufassil (International and Stander Content) matan ko dekhanay ke liay Wikipedia ka Gadger ko baroway kar laya jata hai
Attribution:
Tanza ho janay ki surat mein aur u tanazay ke hal ke liay jo tariqakar apnaya jata hai is ke Rasmi hal ke liay Attribution Gadget istamaal kiya jata hai.
Report Abuse:
Namunasib Content yani behoda qism kw mawad ke itlah ke liay Report Abuse ka Gadget use kiya jata hai.
Main Post Section:
Is Section mein posts ki taadad, Author Name,Date, Profile,Social Sharing Links aur location waghairah ko tarteeb diya jata hai.
Content Section:
Is section mein visitors ya reader's aur Top Trending ke hisab se content ko arrange kiya jata hai.
About Section:
Is section mein apnay aur apnay blog ke mutaaliq tahreer kiya jata hai keh yeh blog falaan falaan ke Hasool ke liay (create) takhleeq kiya gaya hai. About Section mein Description images aur text donon mein likha jata hai.
Footer Copyright Section:
Is section mein footer copyright ki wazahat ki jati hai keh is blog ka kon owner hain aur kiya copyrights rakhta hain aur sath mein Links bhi add kiye jatay hain.
Conclusion:
Is article ko parhnay ke baad main umeed karta hoon keh ap Blogspot.com Par Free Website kaisay Banti Hai ko better tariqay se Developed kar lain gay.Ap hamaray sath joray rahay is par main ap ka shukar guzar hoon.